Saturday, May 16, 2009

Jagjit Singh Ghazals

It's been quite a while since I have blogged... December last year, my gmail account was compromised by some young pranksters in India... They completely deleted my account (gmail, blogspot, piscasa, orkut, everything!) and sadly I couldn't do much about it... Neither did gmail team help me (shame to you google!!!) nor did the cyber crime team in USA and India help... It was as if someone had obliterated my virtual existence.

Nonetheless, I have decided to once again start blogging :) ... This first post is about Ghazals... Ghazal is an urdu poetry or shayari with rhyming couplets and a refrain (repeating words)... Usually written by urdu poets / shayars, ghazals are melodiously sung by famous singers like Jagjit Singh, Manhar Udhas, Ghulam Ali, Pankaj Udhas, etc.

Since I am big fan of Jagjit Singh, I will try to share some of his filmi / non-filmi ghazals (lyrics / audio / video) in this post!... Not everyone will have a taste for this type of music and poetry but if you are a true music lover, you wouldn't be disappointed :)

---------------------------------------------------------------------

Album : Love is Blind (1998)
Lyrics : Nadeem Parmar
Singer : Jagjit Singh
Music : Jagjit Singh

Chak jigar ke si lete hain,
Jaise bhi ho ji lete hain.

Dard mile to sah lete hain,
Ashq mile to pi lete hain.

Aap kahen to mar jayenge,
Aap kahen to ji lete hain.

Bezari ke aandhiyere mein,
Jine wale ji lete hain.

Hum to hain un fulon jaise,
jo kaanto me ji lete hain.

(Chak means slit or torn; Bezari means vexation)

---------------------------------------------------------------------

Album : Jeevan kya hai (2005)
Lyrics : Nida Fazli
Singer : Jagjit Singh
Music : Jagjit Singh

Garaj baras pyaasi dharti par fir paani de Maula
Chidiyo ko daane bachho ko gud-dhaani de Maula

Do aur do ka jod hamesha chaar kaha hota hai
Soch samjhne walo ko thodi nadani de Maula

Fir roshan kar zehar ka pyala chamka nai salide 
Jhutto ki duniya mein sach ko taabani de Maula

Fir murat se bahar aakar chaaro aur bikhar jaa
Fir mandir ko koi meera deewani de Maula

Tere hote koi kisi ki jaan ja dushman kyu ho
Jeene walo ko marne ki aasani de Maula

(gud means jaggery, dhaani is a cereal made out of maize or rice;  taabani means brightness;
This gazal has a very deep meaning if you think about it!... Nida Fazli tells maula (God) to come out of the murat (deity) and spread everywhere just like Krishna did it for Meera)

---------------------------------------------------------------------

Album : Aaj (1987)
Film : Sudarshan Fakir
Singer : Jagjit Singh
Music : ?


Phir aaj mujhe tumko bas itna bataana hai
Hasna hee jeewan hai haste hee jaana hai
     
Madhuban ho ya gulshan ho patjhad ho ya saawan ho
Har haal mein insaan ka ik phool sa jeewan ho
Kaanton mein ulajh ke bhi khushboo hee lutaana hai
Hasna hee jeewan hai haste hee jaana hai   

Har pal jo guzar jaaye daaman ko to bhar jaaye
Ye soch ke jee lein tho takdeer sawar jaaye
Is umr kee raahon se khushiyon ko churaana hai
Hasna hee jeewan hai haste hee jaana hai

Sab dard mitaa de hum, har gham ko saza de hum
Kehte hai jise jeena duniya ko sikha de hum
Ye aaj to apna hai kal bhee apnaana hai
Hasna hee jeewan hai haste hee jaana hai

---------------------------------------------------------------------

Album : Chahat (2004)
Lyrics : Nida Fazli
Singer : Jagjit Singh
Music : Jagjit Singh

Apni marzi se kahan apne safar ke hum hain
Apni marzi se kahan apne safar ke hum hain
Ruq hawaon ka jidhar ka hai udhar ke hum hain
Apni marzi se kahan apne safar ke hum hain...


Pehle har cheez thi apni magar ab lagta hai
Pehle har cheez thi apni magar ab lagta hai
Apni hee ghar mei kisi doosre ghar ke hum hain
Apni hee ghar mei kisi doosre ghar ke hum hain
Ruq hawaon ka jidhar ka hai udhar ke hum hain
Apni marzi se kahan apne safar ke hum hain...


Waqt ke saath hai mitti ka safar sadiyon se
Waqt ke saath hai mitti ka safar sadiyon se
Waqt ke saath hai mitti ka safar sadiyon se
kisko maloom kahan ke hain kidhar ke hum hain
kisko maloom kahan ke hain kidhar ke hum hain
Ruq hawaon ka jidhar ka hai udhar ke hum hain
Apni marzi se kahan apne safar ke hum hain...


Chalte rehte hain ke chalna hai musafir ka naseeb
Chalte rehte hain ke chalna hai musafir ka naseeb
Sonchte rehte kis raah guzar ke hum hain
Sonchte rehte kis raah guzar ke hum hain
Ruq hawaon ka jidhar ka hai udhar ke hum hain
Apni marzi se kahan apne safar ke hum hain
Apni marzi se kahan apne safar ke hum hain

---------------------------------------------------------------------

Album : Insight (1994)
Lyrics : Nida Fazli
Singer : Jagjit Singh
Music : Jagjit Singh

Main roya pardes mein, bheegaa maan kaa pyaar
Dukh ne dukh se baat ki, bin chithhi bin taar

Chhotaa kar ke dekhiye jeevan kaa vistaar
Aankhon bhar aakaash hai, baahon bhar sansaar

Leke tan ke naap ko, ghoomay basti gaanv
Har chaadar ke gher se, baahar nikalay paanv

Sab ki poojaa ek si, alag alag hai reet
Masjid jaaye maulavi, koyal gaaye geet

Pooja ghar mein murati Meera ke sang Shyam,
Jiski jitni chaakari utne uske daam

Nadiyaa seenchay khet ko, tota kutaray aam
Sooraj thekedaar saa, sab ko baantay kaam

Saaton din bhagawaan ke, kyaa mangal kyaa peer
Jis din soye der tak, bhookhaa rahay fakir

Achhi sangat baithkar, sangi badalay roop
Jaisay milkar aam se meethii ho gayi dhoop

Sapnaa jharnaa neend kaa, jaagii aankhen pyaas
Paanaa, khonaa, khojanaa saanson kaa itihaas

Chaahay Geetaa baanchiye, yaa padhiye Quraan
Mera tera pyaar hi har pustak kaa gyaan

(Another masterpiece by Nida Fazli with deep meaning... Saaton din bhagwaan ke, kya mangal kyaa peer, Jis din soye der tak, bhookhaa rahay fakir!)

---------------------------------------------------------------------

Film : Ek Baar Kaho (1980)
Lyrics : ?
Singer : Jagjit Singh
Music : Bappi Lahiri

Koi kesu, koi aachal hame aawaj na de
Ab kisi aakh ka kajal hame awaj na de
  
Hum hai khamosh to khamosh hi rehne do hame 
Koi aahat koi halchal hame awaj na de 
  
Hum ne tanhai ko mehboob bana rakha hai
Raakh ke dher ne sholo ko daba rakha hai 
  
Phir pukara hai mohabat ne hame kya kijye 
Di sada husn ki janat ne hame kya kijye 
  
Jis ke saye se bhi aksar hame dar lagta tha
Choo liya akhir usey hasrat me kya kijye 
  
Hamne jasbat ke daman ko bacha rakha hai 
Raakh ke dher ne sholo ko daba rakha hai 
  
Raas ayenak kabhi pyar ke halat hame
Dil ke is khel mein har bar hui mat hame 
  
Kya karenge kaha jayenge kidhar jayenge 
De gayi jabbhi daga yeh mulakat hame, 
  
Bas isi soch ne hame devana bana rakha hai 
Raakh ke dher ne sholo ko daba rakha hai

(Hum ne tanhai ko mehboob bana rakha hai, raakh ke dher ne sholo ko daba rakha hai - how true!!!)

---------------------------------------------------------------------

Album : Magic Moments (1994)
Lyrics : ?
Singer : Jagjit Singh
Music : ?

Teri khusboo mai basey khat mai jalaata kaise
Pyar mai doobe hu-e khat mai jalaata kaise
Tere haathon ke likhe khat mai jalaata kaise

Jinko duniya ki nigahon se chupa-ye rakha
Jinko ek umra kaleje se lagaye rakha
Deen jinko jinhe imaan banaye rakha

Teri khusboo mai basey khat mai jalaata kaise
Pyar mai doobe hu-e khat mai jalaata kaise

Jinka har lafz mujhe yaad hai paani ki tarah
Yaad they mujko jo paighaam-e-zubaani ki tarah
Mujhko pyaare they jo anmol nishaani ki tarah

Tere khusboo mai basey khat mai jalaata kaise
Pyar mai doobe hu-e khat mai jalaata kaise

Toone duniya ki nigahon se jo bachkar likhi
Saal dar saal mere naam barabar likhi
Kabhi din mai toh kabhi raath ko uthkar likhi

Tere khusboo mai basey khat mai jalaata kaise
Pyar mai doobe hu-e khat mai jalaata kaise

Tere haathon ke likhe khat mai jalaata kaise
Tere khat aaj main Ganga mai bahaa aaya hoon
Aag behte hu-e paani mai laga aaya hoon

(This is actually a Nazm, not exactly a Ghazal - there is a subtle difference between two... Awesome lyrics and nicely sung by Jagjit Singh)

---------------------------------------------------------------------

Film : Dushman (1998)
Lyrics : ?
Singer : Jagjit Singh
Music : Uttam Singh

Chithi na koi sandesh 
Hoo, chithi na koi sandesh 
Jaane woh kaun sa desh 
Jahan tum chale gaye 

Chithi na koi sandesh 
Jaane woh kaun sa desh 
Jahan tum chale gaye 

Chithi na koi sandesh 
Jaane woh kaun sa desh 
Jahan tum chale gaye 
Jahan tum chale gaye 

Is dil pe lagaa ke thes 
Jaane woh kaun sa desh 
Jahan tum chale gaye... 

Ek aah bharee hogi 
Humne na sunee hogi 
Jaate jaate tumne 
Aawaz to di hogi 
Har waqt yehi hai gham 
Us waqt kahan the hum 
Kahan tum chale gaye 

Chithi na koi sandesh 
Jaane woh kaun sa desh 
Jahan tum chale gaye 
Jahan tum chale gaye 

Is dil pe lagaa ke thes 
Jaane woh kaun sa desh 
Jahan tum chale gaye... 

Har cheez pe ashkoon se 
Likha hai tumhara naam 
Ye raste ghar galiyaan 
Tumhe kar na sakee salaam 
Hai dil mein reh gayee baat 
Jaldi se chuda kar haath 
Kahan tum chale gaye 

Chithi na koi sandesh 
Jaane woh kaun sa desh 
Jahan tum chale gaye 
Jahan tum chale gaye 

Is dil pe lagaa ke thes 
Jaane woh kaun sa desh 
Jahan tum chale gaye... 

Abh yaadon ke kaante 
Is dil mein chubhte hain 
Na dard thaherta hai 
Na aansoon rukte hain 
Tumhe dhoondh raha hai pyaar 
Hum kaise karein iqraar 
Ke haan tum chale gaye 

Chithi na koi sandesh 
Jaane woh kaun sa desh 
Jahan tum chale gaye 
Jahan tum chale gaye 

Is dil pe lagaa ke thes 
Jaane woh kaun sa desh 
Jahan tum chale gaye...

O kahan tum chale gaye 
O kahan tum chale gaye 
O kahan tum chale gaye...

(Jagjit Singh and Chitra Singh (his wife) lost their only son in a car accident in Ohio in 1990... He was just 18 years old... Ever since Chitra Singh, who is also a singer, quit singing and became reclusive...  Jagjit Singh has acknowledged that if it wasn't for music, the grief would have been unbearable... This song is apt for him to sing)

2 comments:

  1. nice gzls collection kalpesh.......

    ReplyDelete
  2. now we lost Jagjit singh too...its so sad to think about it.
    Kalpesh, can you compile Jagjit's entire work as of his last days?

    ReplyDelete